Posted by: squarecutatul on: July 7, 2009
“Nai Umar Ki Nai FasaL”(1965) had Rajeev (who ?) and Tanuja in lead roles. This movie is well known for its epic sad song “caravan guzar gaya gubaar dekhte rahe”.
This movie had other nice songs too. Here is a Mukesh song from this song.No, this is not a sad song as one would expect of a Mukesh song. It is a romantic song which is picturised on the lead pair of the movie.
Neeraj has written a very nice and different kind of a romantic song. He was apparently making his debut as a lyricist, and he was keen to impress. And he certainly impressed in this song, as well as in the other songs of tis movie. Roshan was the music director.
Song-Dekhti hi raho aaj darpan naa tum (Nai Umar Ki Nai Fasal) (1965) Singer-Mukesh, Lyrics-Neeraj, MD-Roshan
Lyrics
dekhti hi raho aaj darpan na tum
pyaar kaa ye mahurat nikal jaayegaa,
nikal jayegaa
dekhti hi raho aaj darpan na tum
pyaar kaa ye mahurat nikal jaayegaa,
nikal jayegaa
saans ki to bahut tez raftaar hai
aur chhoti bahut hai milan ki ghadi
goonthte goonthte ye ghataa saanwri
bujh na jaaye kahin roop ki phuljhadi
choodiyaan hi na tum
choodiyaan hi na tum khankhanaati raho
ye sharamsaar mausam badal jaayegaa,
badal jaayegaa
dekhti hi raho aaj darpan na tum
surkh honthon pe uf ye hansi madbhari
jaise shabnam angaaron ki mehmaan ho
jaadu bunati huyi ye nasheeli nazar
dekh le to Khudaayi pareshaan ho
muskuraao na aise
muskuraao na aise churaakar nazar
aainaa dekh soorat machal jaayegaa,
machal jaayegaa
dekhti hi raho aaj darpan na tum
chaal aisi hai madhosh masti bhari
neend sooraj sitaaron ko aane lage
itne naazuk qadam choom paaye agar
sote sote biyaabaan gaane lage
mat mahaawar rachaao
mat mahaawar rachaao bahut paanv mein
farsh kaa marmari dil dahal jaayegaa, dahal jaayegaa
dekhti hi raho aaj darpan na tum
kyaa hua kho gayi kaun si cheez hai
jhuk rahi hai nazar kyun idhar se udhar
honth sahme huye bol bahke huye
hai pareshaan kaajal kadam bekhabar
na na pallu uthaao
na na pallu uthaao giraao nahin
shaayari ka naya daur chal jaayega
chal jaayega
dekhti hi raho aaj darpan na tum
July 8, 2009 at 8:22 pm
This is a cute song. Nice lyrics too.